Sunday, September 9, 2007

baaz bey-jaan ko sitam o bhook ki perwaah nahiN


Kehtey hain who jinheiN zabaan taalu o dandaan sey kaam hai
Shah baaz bey-jaan ko sitam o bhook ki perwaah nahiN

Her lahza Rub ney khilaaya lab-e-jaan tak
Yeh aur hai key zabaan ko lazzat-o-chaah ki perwaah nahiN

ZillatoN, thokroN, bohtaanoN sey sajaya mujhey
Ab nang-o-naam nazr-e-iltifaat ki perwaah nahiN

Kehtey haiN si-tum sey apna rishtaa woh jo sher ko bhook sey
Shikaar bana tu ajal sey humey kuch parwaah nahiN

Dil ki aahni khirkioN ko kholaa isney behisht meiN
Ab kaat key paaoN aur darwaazoN ki perwaah nahiN

Pech-o-khum sey humsaaya huey hum apney lahadoN ke aakhir
WaaN pursaan-e-haal nahiN yahaN kisiko parwaah nahiN

No comments: